Pubg se shuru hone wali kahani
Sab kuch aik simple game say start hua, Pubg. Corona ka time tha, bore tha, maine Pubg khelna shuru kia. Roz ka routine ban gaya tha. Aik dost Usama tha, uske zariye aik aur player mila – Huzaifa Khizar. Roz game hoti thi, dosti bhi strong hoti gai.
Jab Ayza meri zindagi mein aayi
Huzaifa ki ID say aik larki game khelti thi, us waqt mujhy ni pta tha ke wo uski sister hai. Aik raat mainy Huzaifa ko invite bheja tu reply aya, "Huzaifa din main game khelta hai, raat ko nahi." Main samjha uska bhai hoga ya koi aur. Lekin bd mai samajh aya ke uski sister Ayza Raat ko Game Khelti hai.
Pehli dafa Ayza ki awaz suni... aur sab kuch badal gaya
Phir roz Ayza ke sath game khelny laga. Game main hi Ayza say baat hoti thi, voice kabhi nahi suni thi. Ek din Ayza ne khud msg kia ke, "Main mic on karloon?" Main bola, "Kar lain." Jab Ayza ki pehli baar awaz suni, qasam say... dil haar baitha. Uski voice itni pyari thi, lagta tha jese rooh tak jaa rahi ho. Bas usi din se... dil Ayza ka ho gaya.
Game se WhatsApp tak – hamari dosti se mohabbat ka safar
Phir baat game se nikal kar Messenger tak gayi. Messenger se WhatsApp. Roz raat calls. 12 ghantay ki call lagi rehti. Main job karta, sath call chalti rehti. Game bhi Ayza k sath. Har waqt usi ka sath chahiye hota tha. Ayza bhi meri bagair nahi reh sakti thi. Hum dono aik dosray ke bina adhooray thay.
Jab sab kuch toot gaya – Ayza ka phone chala gaya
Ek din Ayza ke ghar walon ko pata chal gaya. Ghar walon ne Ayza se phone cheen liya, usko mara bhi... sirf is liye kyunke usay mujhse pyaar tha. Ayza ne 2 saal tak phone ke bagair waqt guzara. Meri wajah se. Main roz rota tha. Ayza kisi na kisi ke phone se mujhe msg karti. Kabhi ami ka number, kabhi cousin, kabhi mamu. Bas kuch bhi ho, Ayza msg karti zaroor thi. Aur main har waqt uske ek msg ka intezar karta.
Main ne YouTube Channel banaya... sirf uske intezar mein
Mainy apna YouTube channel bhi banaya — “Husnain Plays”. Game ki videos upload karta, stream karta, lekin har waqt aankhen screen per hoti thi ke kahin Ayza ka msg na ajaye. Aaye tu sab kuch chor deta. Ayza meri duniya ban gayi thi.
Jab sab kuch sacrifice kar ke Pakistan aya
Phir aisa time aya ke Ayza ne zidd pakar li ke Pakistan ayen aur kuch karein hamare rishte ke liye. Lekin uske ghar wale nahi mante thay. Mere abu ko cancer ho gaya. Visa bhi expire ho gaya. Fine pay kar kar ke akhir main Pakistan aa gaya 2024 main.
Pehli mulaqat – jab main Ayza se real life mein mila
Ayza ne mujhe milne ka kaha. Lekin main dar gaya. Roz jata, raste tak jata, wapis aa jata. Ek din Ayza ne himmat ki — jahan main ruk jata tha, wo wahan aa gayi. Huzaifa bhi sath tha. Pehli baar Ayza ko real life mein dekha. Aur main kaamp gaya. Lekin us din ke baad roz milne laga.
Jab zindagi ne sab kuch le liya...
Phir...
Mere Abu ki death ho gayi. Main tut gaya. Ayza ne mujhe sambhalna chaha. Lekin uska bhi aik rishte se wasta tha — bachpan ka rishta, uske cousin Saad se. Ghar walon ki zidd thi, Ayza ki koi nahi sunta tha. Usne bohat koshish ki, lekin jab kuch na bana... usne mujhe chor diya.
Block, tanhaai... aur intezar
Har jagah say block. Har raasta band.
Main aj bhi Ayza ka wait karta hoon. Uski purani chats dekhta hoon, uski pics say baat karta hoon. Kabhi khud ko marta hoon. Bas yehi sochta hoon, kya wo waqai pyaar tha? Jo itne saal tak raha... kya wo sab jhoot tha?
Aaj bhi usi raaste ka musafir hoon
Nahi. Mujhe yaqeen hai. Ayza ne pyaar kia tha. Usne sab kuch qurban kia tha mere liye. Main usay kabhi galat nahi keh sakta.
Usne pyaar kia. Bohat gehra pyaar.
Aur main... aj bhi usi raaste ka musafir hoon.
Ek Akhri Baat... Ayza ke Naam
"Agar Ayza yeh kahani kabhi parhe... tu sirf itna kehna chahta hoon…
Apka Husnain aj bhi wahi hai — wo hi pagal, wo hi bewakoof, sirf apka. Har roz apka intezar karta hai. Har roz apki purani chat parta hai. Har roz apki yaadon mein ro leta hai.
Mujhe nahi pata Ap kahan hain, kaisi hain... lekin agar kahin bhi hain — sirf itna yaad rakhna... Husnain aj bhi sirf Apsay mohabbat karta hai.
Aur hamesha karta rahega."
0 Comments